pahle to zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya
pahle to zikr-e-gardish-e-ayyām aa gayā
phir dostoñ ke lab pe mirā naam aa gayā
sūraj kahāñ se aaj sar-e-shām aa gayā
kah kar ye baat koī lab-e-bām aa gayā
hogī kisī ko aish-e-javānī kī kuchh ḳhabar
apne to sar pe muft kā ilzām aa gayā
karnā paḌegā va.ada-e-fardā vafā tumheñ
zid par agar mirā dil-e-nākām aa gayā
shukr-e-husūl-e-dāna kare bhī to kyā kare
vo tā.ir-e-hazīñ jo tah-e-dām aa gayā
pahuñchā thā un kī bazm meñ dil to ba-sad umiid
kyā jaane kis ḳhayāl se nākām aa gayā
sun kar janāb-e-shaiḳh se tauba ke fā.ede
har rind ko ḳhayāl-e-mai-o-jām aa gayā
karnī to thī shikāyat-e-dard-e-jigar mujhe
be-iḳhtiyār lab pe tirā naam aa gayā
ai murġh-e-dil batā to sahī is kā kyā ilaaj
daane se peshtar hī agar daam aa gayā
barbād kar ga.ī tirī pahlī nazar mujhe
āġhāz hī meñ sāmne anjām aa gayā
'sāhir' jo zikr-e-sher-o-suḳhan chhiḌ gayā kahīñ
har shaḳhs kī zabāñ pe tirā naam aa gayā
pahle to zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya
phir doston ke lab pe mera nam aa gaya
suraj kahan se aaj sar-e-sham aa gaya
kah kar ye baat koi lab-e-baam aa gaya
hogi kisi ko aish-e-jawani ki kuchh KHabar
apne to sar pe muft ka ilzam aa gaya
karna paDega wada-e-farda wafa tumhein
zid par agar mera dil-e-nakaam aa gaya
shukr-e-husul-e-dana kare bhi to kya kare
wo tair-e-hazin jo tah-e-dam aa gaya
pahuncha tha un ki bazm mein dil to ba-sad umid
kya jaane kis KHayal se nakaam aa gaya
sun kar janab-e-shaiKH se tauba ke faede
har rind ko KHayal-e-mai-o-jam aa gaya
karni to thi shikayat-e-dard-e-jigar mujhe
be-iKHtiyar lab pe tera nam aa gaya
ai murgh-e-dil bata to sahi is ka kya ilaj
dane se peshtar hi agar dam aa gaya
barbaad kar gai teri pahli nazar mujhe
aaghaz hi mein samne anjam aa gaya
'sahir' jo zikr-e-sher-o-suKHan chhiD gaya kahin
har shaKHs ki zaban pe tera nam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.