pahle wo diwar par naqsha lagae
pahle vo dīvār par naqsha lagā.e
ba.ad meñ rastoñ kā andāza lagā.e
jaane sūraj ne nadī se kyā kahā hai
bah rahī hai dhuup kā chashma lagā.e
chāñd kī āñkheñ baḌī dikhne lageñgī
raat gar surma zarā gahrā lagā.e
maiñ samundar ke safar se lauT aa.uuñ
vo agar āvāz dobāra lagā.e
shaam kā dil kal hī TuuTā aaj phir kyoñ
aa ga.ī ummīd kā chehra lagā.e
jangaloñ meñ miil ke patthar nahīñ haiñ
dūriyoñ kā kaun andāza lagā.e
jhāñktī hai kāñch se phir dhuup ghar meñ
kah do khiḌkī se koī parda lagā.e
chāñd utre jhiil meñ us kī balā se
chāñdnī kyoñ rāt-bhar pahra lagā.e
manzileñ pahle hī saarī haar baiThā
daañv par rasta bhalā ab kyā lagā.e
pahle wo diwar par naqsha lagae
baad mein raston ka andaza lagae
jaane suraj ne nadi se kya kaha hai
bah rahi hai dhup ka chashma lagae
chand ki aankhen baDi dikhne lagengi
raat gar surma zara gahra lagae
main samundar ke safar se lauT aaun
wo agar aawaz dobara lagae
sham ka dil kal hi TuTa aaj phir kyon
aa gai ummid ka chehra lagae
jangalon mein mil ke patthar nahin hain
duriyon ka kaun andaza lagae
jhankti hai kanch se phir dhup ghar mein
kah do khiDki se koi parda lagae
chand utre jhil mein us ki bala se
chandni kyon raat-bhar pahra lagae
manzilen pahle hi sari haar baiTha
danw par rasta bhala ab kya lagae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.