pahle ye ana taq pe dharna hi paDegi
pahle ye anā taaq pe dharnā hī paḌegī
tab jā ke kahīñ ham ko faqīrī ye milegī
daadī ne mire sāmne ik roz kahā thā
ye aaj kī ‘aurat hai ye nā-haq na dabegī
dete haiñ jahāñ peḌ parindoñ ko ishāra
sayyād kī aisī jagah hargiz na chalegī
shiddat kī hai ḳhvāhish ki mile āb-e-hayāt aaj
hai 'umr ko mā'lūm ki ik roz Dhalegī
aane lagī haiñ ab to madīne se sadā.eñ
ai zindagī ab tujh se mirī ḳhuub jamegī
saaya hai mire sar pe buzurgoñ kā hamesha
ai vaqt mire sāmne terī na chalegī
pahle ye ana taq pe dharna hi paDegi
tab ja ke kahin hum ko faqiri ye milegi
dadi ne mere samne ek roz kaha tha
ye aaj ki ‘aurat hai ye na-haq na dabegi
dete hain jahan peD parindon ko ishaara
sayyaad ki aisi jagah hargiz na chalegi
shiddat ki hai KHwahish ki mile aab-e-hayat aaj
hai 'umr ko ma'lum ki ek roz Dhalegi
aane lagi hain ab to madine se sadaen
ai zindagi ab tujh se meri KHub jamegi
saya hai mere sar pe buzurgon ka hamesha
ai waqt mere samne teri na chalegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.