pahli si dil ko KHwahish-e-hijrat nahin rahi
pahlī sī dil ko ḳhvāhish-e-hijrat nahīñ rahī
kyā ai zamīñ hamārī zarūrat nahīñ rahī
āñgan meñ saarī raat barastī rahī ghaTā
dīvār ghar kī koī salāmat nahīñ rahī
yuñhī nahīñ irāda-e-pahlū-tahī ki ab
un se nibāh karne kī sūrat nahīñ rahī
patte haiñ ḳhushk phir bhī shajar se haiñ munsalik
kyā kījiye havā kī ināyat nahīñ rahī
dariyā meñ laakh maujeñ rahīñ sar-ba-kaf magar
kachche gharoñ ko ab koī vahshat nahīñ rahī
galiyoñ meñ phir se farsh-e-lahū bichh gayā tamām
insāñ meñ āj-kal ke sharāfat nahīñ rahī
pahli si dil ko KHwahish-e-hijrat nahin rahi
kya ai zamin hamari zarurat nahin rahi
aangan mein sari raat barasti rahi ghaTa
diwar ghar ki koi salamat nahin rahi
yunhi nahin irada-e-pahlu-tahi ki ab
un se nibah karne ki surat nahin rahi
patte hain KHushk phir bhi shajar se hain munsalik
kya kijiye hawa ki inayat nahin rahi
dariya mein lakh maujen rahin sar-ba-kaf magar
kachche gharon ko ab koi wahshat nahin rahi
galiyon mein phir se farsh-e-lahu bichh gaya tamam
insan mein aaj-kal ke sharafat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.