pahlu mein dil hai dard-e-mohabbat liye hue
pahlū meñ dil hai dard-e-mohabbat liye hue
baiThā huuñ kā.enāt kī daulat liye hue
is husn-e-ishva-gar se farishte na bach sake
hai aadmī to phir bashariyyat liye hue
allāh re ġhubār guzargāh-e-yār kā
hai zarra zarra tuur kī azmat liye hue
hogī qubūl dāvar-e-mahshar ye pesh-kash
aayā huuñ maiñ matā.a-e-nadāmat liye hue
hoñ bāryāb-e-bazm vo saa.at kab aa.egī
muddat guzar chukī hai ijāzat liye hue
hālāñki muskurāte haiñ vo vaqt-e-guftugū
lahja magar hai saaf kudūrat liye hue
mar kar bhī gul-ruḳhoñ se judā.ī na ho sakī
phūloñ kā Dher hai mirī turbat liye hue
gumnām thā to kunj-e-qanā.at nasīb thā
phirtī hai chār-sū mirī shohrat liye hue
har gosha mere qalb kā maidān-e-hashr hai
hai muḳhtasar makān ye vus.at liye hue
naale nikal ke dil se agar arsh tak ga.e
jā.eñge ai falak ye tirī chhat liye hue
ik hūr-vash ke kūche kā 'sābir' hai dil pe naqsh
baiThā huuñ maiñ kanār meñ jannat liye hue
pahlu mein dil hai dard-e-mohabbat liye hue
baiTha hun kaenat ki daulat liye hue
is husn-e-ishwa-gar se farishte na bach sake
hai aadmi to phir bashariyyat liye hue
allah re ghubar guzargah-e-yar ka
hai zarra zarra tur ki azmat liye hue
hogi qubul dawar-e-mahshar ye pesh-kash
aaya hun main mataa-e-nadamat liye hue
hon baryab-e-bazm wo saat kab aaegi
muddat guzar chuki hai ijazat liye hue
haalanki muskuraate hain wo waqt-e-guftugu
lahja magar hai saf kudurat liye hue
mar kar bhi gul-ruKHon se judai na ho saki
phulon ka Dher hai meri turbat liye hue
gumnam tha to kunj-e-qanaat nasib tha
phirti hai chaar-su meri shohrat liye hue
har gosha mere qalb ka maidan-e-hashr hai
hai muKHtasar makan ye wusat liye hue
nale nikal ke dil se agar arsh tak gae
jaenge ai falak ye teri chhat liye hue
ek hur-wash ke kuche ka 'sabir' hai dil pe naqsh
baiTha hun main kanar mein jannat liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.