pahlu mein main dabae hue dard-o-gham uTha
pahlu mein main dabae hue dard-o-gham uTha
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
pahlū meñ maiñ dabā.e hue dard-o-ġham uThā
mahfil se terī jab bhī uThā chashm-e-nam uThā
Thokar se gard-e-rāh aḌī rahnumā banī
manzil kī samt jab bhī hamārā qadam uThā
ab likh de husn-o-ishq kī rangīn dāstāñ
ai shā.ir-e-jadīd uThā phir qalam uThā
sajda qadam qadam pe jo kartā huā chalā
tāzīm ke liye merī ḳhud bhī haram uThā
rindoñ ne ehtirām se sar ko jhukā liyā
mahfil meñ zikr jab bhī kabhī jām-e-jam uThā
us but ne jab bhī khol diye gesū-e-hasīñ
har samt jhuum jhuum ke abr-e-karam uThā
jab be-naqāb aa ga.e 'anvar' ko vo nazar
phir sāmne se parda-e-dair-o-haram uThā
pahlu mein main dabae hue dard-o-gham uTha
mahfil se teri jab bhi uTha chashm-e-nam uTha
Thokar se gard-e-rah aDi rahnuma bani
manzil ki samt jab bhi hamara qadam uTha
ab likh de husn-o-ishq ki rangin dastan
ai shair-e-jadid uTha phir qalam uTha
sajda qadam qadam pe jo karta hua chala
tazim ke liye meri KHud bhi haram uTha
rindon ne ehtiram se sar ko jhuka liya
mahfil mein zikr jab bhi kabhi jam-e-jam uTha
us but ne jab bhi khol diye gesu-e-hasin
har samt jhum jhum ke abr-e-karam uTha
jab be-naqab aa gae 'anwar' ko wo nazar
phir samne se parda-e-dair-o-haram uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.