pahlu mein wo mah aur shab-e-mahtab ka aalam
pahlu mein wo mah aur shab-e-mahtab ka aalam
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
pahlū meñ vo mah aur shab-e-mahtāb kā 'ālam
kyā kahiye ye bedārī hai yā ḳhvāb kā 'ālam
ik chāñd sā mukhḌā nazar aayā thā kisī raat
āñkhoñ meñ hai ab tak shab-e-mahtāb kā 'ālam
sāġhar meñ paḌā 'aks-e-ruḳh-e-sāqī-e-mahvash
paidā huā mahtāb meñ mahtāb kā 'ālam
bikhre hue gesū haiñ chamakte hue 'āriz
kuchh abr kā hai kuchh shab-e-mahtāb kā 'ālam
pahlu mein wo mah aur shab-e-mahtab ka 'alam
kya kahiye ye bedari hai ya KHwab ka 'alam
ek chand sa mukhDa nazar aaya tha kisi raat
aankhon mein hai ab tak shab-e-mahtab ka 'alam
saghar mein paDa 'aks-e-ruKH-e-saqi-e-mahwash
paida hua mahtab mein mahtab ka 'alam
bikhre hue gesu hain chamakte hue 'ariz
kuchh abr ka hai kuchh shab-e-mahtab ka 'alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.