pahunch ka masala hal kar raha hun
pahuñch kā mas.ala hal kar rahā huuñ
maiñ darvāza muqaffal kar rahā huuñ
agar milnā nahīñ tum ne kahīñ bhī
maiñ apne paañv kyoñ shal kar rahā huuñ
sitāre lā rahā huuñ āsmāñ se
murattab terī paa.el kar rahā huuñ
tumhārī yaad dariyā burd kar ke
adhūrā-pan mukammal kar rahā huuñ
vo dil meñ aa basegā dekh lenā
jise āñkhoñ se ojhal kar rahā huuñ
pahunch ka masala hal kar raha hun
main darwaza muqaffal kar raha hun
agar milna nahin tum ne kahin bhi
main apne panw kyon shal kar raha hun
sitare la raha hun aasman se
murattab teri pael kar raha hun
tumhaari yaad dariya burd kar ke
adhura-pan mukammal kar raha hun
wo dil mein aa basega dekh lena
jise aankhon se ojhal kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.