pahunch kar mai-kade ke dar pe yun aai hansi mujhko
pahuñch kar mai-kade ke dar pe yuuñ aa.ī hañsī mujh ko
ki le aa.ī kahāñ āḳhir ye merī tishnagī mujh ko
bahut sochā hai lekin ye nahīñ samjhā ki āḳhir kyoñ
añdheroñ meñ liye phirtī hai aksar raushnī mujh ko
rah-e-ulfat meñ samjhāte rahe ik dūsre ko ham
kabhī dīvāngī ko maiñ kabhī dīvāngī mujh ko
tujhe ai gardish-e-daurāñ lagā letā gale lekin
sañbhalne hī nahīñ detī hai merī be-ḳhudī mujh ko
maiñ har ik rāh-rau se pūchhtā huuñ raah manzil kī
mujhe Dar hai ki le Dūbegī merī sādgī mujh ko
abhī to zaḳhm khaa.e haiñ abhī to dil hī TuuTā hai
ḳhudā jaane abhī kyā kyā dikhā.e dil-lagī mujh ko
huī muddat sukūn-e-dil 'kañval' jaatā rahā apnā
bahut mahñgī paḌī hai zindagī se dostī mujh ko
pahunch kar mai-kade ke dar pe yun aai hansi mujh ko
ki le aai kahan aaKHir ye meri tishnagi mujh ko
bahut socha hai lekin ye nahin samjha ki aaKHir kyon
andheron mein liye phirti hai aksar raushni mujh ko
rah-e-ulfat mein samjhate rahe ek dusre ko hum
kabhi diwangi ko main kabhi diwangi mujh ko
tujhe ai gardish-e-dauran laga leta gale lekin
sanbhalne hi nahin deti hai meri be-KHudi mujh ko
main har ek rah-rau se puchhta hun rah manzil ki
mujhe Dar hai ki le Dubegi meri sadgi mujh ko
abhi to zaKHm khae hain abhi to dil hi TuTa hai
KHuda jaane abhi kya kya dikhae dil-lagi mujh ko
hui muddat sukun-e-dil 'kanwal' jata raha apna
bahut mahngi paDi hai zindagi se dosti mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.