pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai
pahuñch kar shab kī sarhad par ujālā Duub jaatā hai
na ho jis kā koī vo be-sahārā Duub jaatā hai
jise gaatā hai koī barbat-e-sad-chāk-dāmāñ par
fazā-e-be-yaqīnī meñ vo naġhma Duub jaatā hai
yahāñ to dil kī bāteñ haiñ hamārā tajraba hai ye
jo sat.h-e-āb par rakhiye to paisa Duub jaatā hai
ta.alluq der se mazbūt kartā hai jaḌeñ apnī
zarā sī chuuk se sadiyoñ kā rishta Duub jaatā hai
tirī yādoñ kī duniyā se kabhī jo duur hotā huuñ
udāsī gher letī hai nazārā Duub jaatā hai
na jaane kyā ho tere shahr meñ ab jā ke dekhūñgā
yahāñ to apnī qismat kā sitāra Duub jaatā hai
ubal paḌtā hai aafat kā kahīñ laavā to phir 'anjum'
ġham-o-andoh meñ mā'sūm chehra Duub jaatā hai
pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai
na ho jis ka koi wo be-sahaara Dub jata hai
jise gata hai koi barbat-e-sad-chaak-daman par
faza-e-be-yaqini mein wo naghma Dub jata hai
yahan to dil ki baaten hain hamara tajraba hai ye
jo sath-e-ab par rakhiye to paisa Dub jata hai
talluq der se mazbut karta hai jaDen apni
zara si chuk se sadiyon ka rishta Dub jata hai
teri yaadon ki duniya se kabhi jo dur hota hun
udasi gher leti hai nazara Dub jata hai
na jaane kya ho tere shahr mein ab ja ke dekhunga
yahan to apni qismat ka sitara Dub jata hai
ubal paDta hai aafat ka kahin lawa to phir 'anjum'
gham-o-andoh mein ma'sum chehra Dub jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.