pahunch nahin to mohabbat ka hausla kya hai
pahuñch nahīñ to mohabbat kā hausla kyā hai
ḳhudā ke pūjne vaale batā ḳhudā kyā hai
talab kī zillat-o-bechārgī ma.āz-allāh
mirī ḳhudī kā tashannuj hai ye duā kyā hai
ham uTh khaḌe hue duniyā se jhaaḌ kar dāman
ki in bujhe hue zarrāt meñ dharā kyā hai
ravā hai kyā tirī duniyā meñ nāravā kyā hai
mujhe batā ki ye hangāma ai ḳhudā kyā hai
ye ittihād-e-tabī.at ye iḳhtilāf-e-mizāj
ye turfa-kārī-e-raftār-e-irtiqā kyā hai
ḳhudā-faroshī-e-zuhhād-e-sajda-kosh hai kyā
ḳhudā-farāmushī-e-rind-e-kaj-adā kyā hai
ḳharāsh-e-ārzū-e-qalb-e-bādshah hai kyā
sukūn-e-ḳhātir-e-āsūda-e-gadā kyā hai
hayāt jis ko kaheñ ik junūn-e-garm-ravī
ye kyoñ hai is kī ġharaz is kā mudda.ā kyā hai
kahāñ hai avval-e-avval kahāñ aḳhīr-e-aḳhīr
numūd-e-be-sar-o-pā kā ye silsila kyā hai
dimāġh meñ ye tajassus kahāñ se aaya hai
ye kyoñ hai kyoñ koī batlā.e aur ye kyā kyā hai
pahunch nahin to mohabbat ka hausla kya hai
KHuda ke pujne wale bata KHuda kya hai
talab ki zillat-o-bechaargi maaz-allah
meri KHudi ka tashannuj hai ye dua kya hai
hum uTh khaDe hue duniya se jhaD kar daman
ki in bujhe hue zarraat mein dhara kya hai
rawa hai kya teri duniya mein narawa kya hai
mujhe bata ki ye hangama ai KHuda kya hai
ye ittihad-e-tabiat ye iKHtilaf-e-mizaj
ye turfa-kari-e-raftar-e-irtiqa kya hai
KHuda-faroshi-e-zuhhad-e-sajda-kosh hai kya
KHuda-faramushi-e-rind-e-kaj-ada kya hai
KHarash-e-arzu-e-qalb-e-baadshah hai kya
sukun-e-KHatir-e-asuda-e-gada kya hai
hayat jis ko kahen ek junun-e-garm-rawi
ye kyon hai is ki gharaz is ka muddaa kya hai
kahan hai awwal-e-awwal kahan aKHir-e-aKHir
numud-e-be-sar-o-pa ka ye silsila kya hai
dimagh mein ye tajassus kahan se aaya hai
ye kyon hai kyon koi batlae aur ye kya kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.