pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
Sher Mohammad Khan Iman
MORE BYSher Mohammad Khan Iman
pahuñchā hai aaj qais kā yaañ silsila mujhe
jañgal kī raas kyuuñ na ho āb-o-havā mujhe
aanā agar tirā nahīñ hotā hai mere ghar
daulat-sarā meñ apne hī ik din bulā mujhe
vo hove aur maiñ huuñ aur ik kunj-e-āfiyat
is se ziyāda chāhiye phir aur kyā mujhe
paidā kiyā hai jab se ki maiñ rabt-e-ishq se
begāna jāntā hai har ek āshnā mujhe
kāfir butoñ kī raah na jā aa ḳhudā ko maan
pīr-e-ḳhirad ne garche kahā bār-hā mujhe
par kyā karūñ ki dil hī nahīñ iḳhtiyār meñ
us ḳhānumā-ḳharāb ne aajiz kiyā mujhe
pahle hī apne dil ko na denā thā us ke haath
'īmān' ab to koī paḌī hai vafā mujhe
pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
jangal ki ras kyun na ho aab-o-hawa mujhe
aana agar tera nahin hota hai mere ghar
daulat-sara mein apne hi ek din bula mujhe
wo howe aur main hun aur ek kunj-e-afiyat
is se ziyaada chahiye phir aur kya mujhe
paida kiya hai jab se ki main rabt-e-ishq se
begana jaanta hai har ek aashna mujhe
kafir buton ki rah na ja aa KHuda ko man
pir-e-KHirad ne garche kaha bar-ha mujhe
par kya karun ki dil hi nahin iKHtiyar mein
us KHanuma-KHarab ne aajiz kiya mujhe
pahle hi apne dil ko na dena tha us ke hath
'iman' ab to koi paDi hai wafa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.