pahuncha main ku-e-yar mein jab sar liye hue
pahuñchā maiñ kū-e-yār meñ jab sar liye hue
nāzuk badan nikal paḌe patthar liye hue
ai dost zindagī kī mujhe bad-duā na de
maiñ ḳhaak ho chukā huuñ muqaddar liye hue
chaltī hai rauñdtī hue pal pal mirā vajūd
har saañs ḳhvāhishāt kā lashkar liye hue
parchhā.iyoñ ke des meñ be-asl kuchh nahīñ
manzar bhī hai yahāñ pas-manzar liye hue
guzrī hai rauñdtī huī lamhoñ kā qāfila
'tāriq' kī musht-e-ḳhāk hai mahshar liye hue
pahuncha main ku-e-yar mein jab sar liye hue
nazuk badan nikal paDe patthar liye hue
ai dost zindagi ki mujhe bad-dua na de
main KHak ho chuka hun muqaddar liye hue
chalti hai raundti hue pal pal mera wajud
har sans KHwahishat ka lashkar liye hue
parchhaiyon ke des mein be-asl kuchh nahin
manzar bhi hai yahan pas-manzar liye hue
guzri hai raundti hui lamhon ka qafila
'tariq' ki musht-e-KHak hai mahshar liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.