pahunche na jo murad ko wo muddaa hun main
pahuñche na jo murād ko vo mudda.ā huuñ maiñ
nākāmiyoñ kī raah meñ ḳhud kho gayā huuñ maiñ
kahte haiñ jis ko husn usī kā hai naam ishq
dekho mujhe ba-ġhaur ki shān-e-ḳhudā huuñ maiñ
parda uThā ki hosh kī duniyā badal ga.ī
hairān huuñ ki sāmne kyā dekhtā huuñ maiñ
paivand ḳhaak ho ke mileñ sar-bulandiyāñ
dasht-e-junūñ meñ ban ke bagūlā uḌā huuñ maiñ
vaa.iz ke pand-o-va.az kā itnā asar to hai
jo kuchh bhī aaj us ne kahā pī gayā huuñ maiñ
samjhe mirī haqīqat-e-hastī koī 'ratan'
ain-e-fanā kī shakl meñ ain-e-baqā huuñ maiñ
pahunche na jo murad ko wo muddaa hun main
nakaamiyon ki rah mein KHud kho gaya hun main
kahte hain jis ko husn usi ka hai nam ishq
dekho mujhe ba-ghaur ki shan-e-KHuda hun main
parda uTha ki hosh ki duniya badal gai
hairan hun ki samne kya dekhta hun main
paiwand KHak ho ke milen sar-bulandiyan
dasht-e-junun mein ban ke bagula uDa hun main
waiz ke pand-o-waz ka itna asar to hai
jo kuchh bhi aaj us ne kaha pi gaya hun main
samjhe meri haqiqat-e-hasti koi 'ratan'
ain-e-fana ki shakl mein ain-e-baqa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.