pahunche to mere gham ki sada tere shahr mein
pahuñche to mere ġham kī sadā tere shahr meñ
ro.egī tere saath ghaTā tere shahr meñ
āḳhir mirī duāoñ meñ tāsīr kyoñ nahīñ
kyā so gayā hai merā ḳhudā tere shahr meñ
ik fāsla hai jab ki tire mere darmiyān
maiñ kyā karūñgī aa ke batā tere shahr meñ
barf oḌh kar pahāḌoñ se utregī DhūñDne
tujh ko udaas udaas havā tere shahr meñ
tujh se milī to TuuT gayā umr bhar kā ḳhvāb
ab maiñ huuñ zindagī se judā tere shahr meñ
dhartī pe jab bhī Tapkegā 'nasrīn' kā lahū
hogī lahū lahū sī fazā tere shahr meñ
pahunche to mere gham ki sada tere shahr mein
roegi tere sath ghaTa tere shahr mein
aaKHir meri duaon mein tasir kyon nahin
kya so gaya hai mera KHuda tere shahr mein
ek fasla hai jab ki tere mere darmiyan
main kya karungi aa ke bata tere shahr mein
barf oDh kar pahaDon se utregi DhunDne
tujh ko udas udas hawa tere shahr mein
tujh se mili to TuT gaya umr bhar ka KHwab
ab main hun zindagi se juda tere shahr mein
dharti pe jab bhi Tapkega 'nasrin' ka lahu
hogi lahu lahu si faza tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.