pahunchega mohabbat ka yun anjam kahan tak
pahunchega mohabbat ka yun anjam kahan tak
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
pahuñchegā mohabbat kā yuuñ anjām kahāñ tak
mujh par vo lagāte rahe ilzām kahāñ tak
manzil bhī nazar aane lagī aage hī aage
do gaam chalūñ aur vo do gaam kahāñ tak
ham girya-e-shabnam kī taraf dekh rahe haiñ
kaliyoñ ke tabassum kā hai paiġhām kahāñ tak
ham bāda-e-ulfat haiñ so hāthoñ se hamāre
chhīnegā mohabbat ke koī jaam kahāñ tak
ye koī batā saktā nahīñ hai kabhī 'qaisar'
mā'lūm nahīñ hijr kī hai shaam kahāñ tak
pahunchega mohabbat ka yun anjam kahan tak
mujh par wo lagate rahe ilzam kahan tak
manzil bhi nazar aane lagi aage hi aage
do gam chalun aur wo do gam kahan tak
hum girya-e-shabnam ki taraf dekh rahe hain
kaliyon ke tabassum ka hai paigham kahan tak
hum baada-e-ulfat hain so hathon se hamare
chhinega mohabbat ke koi jam kahan tak
ye koi bata sakta nahin hai kabhi 'qaisar'
ma'lum nahin hijr ki hai sham kahan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.