pahuncha diya hai josh-e-talab ne kahan mujhe
pahuñchā diyā hai josh-e-talab ne kahāñ mujhe
lagtā hai har maqām tirā āstāñ mujhe
ālām-e-rozgār meñ bhī dilkashī rahe
mil jaa.e aap sā jo koī mehrbāñ mujhe
maiñ be-niyāz-e-rahbar-o-rahzan huuñ ai nadīm
kyoñ dekhtā hai ġhaur se har kārvāñ mujhe
taḳhlīq-e-kā.enāt kā bā'is tumhīñ to ho
tum mil ga.e to mil ga.e donoñ jahāñ mujhe
qaa.em ḳhudī ke saath hai rang-e-ta.a.yyunāt
phir maiñ kahāñ agar huā irfān-e-jāñ mujhe
ālām-e-rahguzār-e-mohabbat na pūchhiye
har gaam par mile haiñ lahū ke nishāñ mujhe
kuchh aur ai tajallī-e-jānāñ mujhe navāz
himmat abhī nazar nahīñ aatī javāñ mujhe
ai chārāgar ‘ilāj kī zahmat na kījiye
raas aa ga.ī amānat-e-dard-e-nihāñ mujhe
ye kaun sā maqām-e-mohabbat hai ai 'bahār'
hone lagā hai ḳhud pe bhī un kā gumāñ mujhe
pahuncha diya hai josh-e-talab ne kahan mujhe
lagta hai har maqam tera aastan mujhe
aalam-e-rozgar mein bhi dilkashi rahe
mil jae aap sa jo koi mehrban mujhe
main be-niyaz-e-rahbar-o-rahzan hun ai nadim
kyon dekhta hai ghaur se har karwan mujhe
taKHliq-e-kaenat ka ba'is tumhin to ho
tum mil gae to mil gae donon jahan mujhe
qaem KHudi ke sath hai rang-e-tayyunat
phir main kahan agar hua irfan-e-jaan mujhe
aalam-e-rahguzar-e-mohabbat na puchhiye
har gam par mile hain lahu ke nishan mujhe
kuchh aur ai tajalli-e-jaanan mujhe nawaz
himmat abhi nazar nahin aati jawan mujhe
ai chaaragar ‘ilaj ki zahmat na kijiye
ras aa gai amanat-e-dard-e-nihan mujhe
ye kaun sa maqam-e-mohabbat hai ai 'bahaar'
hone laga hai KHud pe bhi un ka guman mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.