paida hote hi rone lag jate hain
paidā hote hī rone lag jaate haiñ
ġhalatī ho jaatī hai ham insānoñ se
vīrānoñ ko yakjā kar legī qudrat
duniyā ban jā.egī in vīrānoñ se
saare daana nā-dānoñ ke dam se haiñ
hone kā pahlū bhī hai nādānoñ se
sab tujh se ummīd lagā.e baiThe haiñ
jhuuT nahīñ bolā karte mehmānoñ se
raam kā naam nahīñ thā vo majbūrī thī
rishta qaa.em karnā thā chaTTānoñ se
kāñdhā dene vaale saare murda log
zinda ho kar lauTe haiñ shamshānoñ se
paida hote hi rone lag jate hain
ghalati ho jati hai hum insanon se
viranon ko yakja kar legi qudrat
duniya ban jaegi in viranon se
sare dana na-danon ke dam se hain
hone ka pahlu bhi hai nadanon se
sab tujh se ummid lagae baiThe hain
jhuT nahin bola karte mehmanon se
ram ka nam nahin tha wo majburi thi
rishta qaem karna tha chaTTanon se
kandha dene wale sare murda log
zinda ho kar lauTe hain shamshanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.