paida kiya hai qalb ne simab ka KHawas
paida kiya hai qalb ne simab ka KHawas
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
paidā kiyā hai qalb ne sīmāb kā ḳhavās
hāsil na kyoñ ho māhī-e-be-āb kā ḳhavās
royā jo shab ko gauhar-e-dandāñ kī yaad meñ
thā ashk-e-chashm meñ dur-e-nāyāb kā ḳhavās
lā.egā ek roz tumheñ bar meñ khīñch kar
ai dilrubā mire dil-e-betāb kā ḳhavās
ho husn-e-lā-zavāl kā kuchh aur hī kamāl
mahtāb gar bane mire mahtāb kā ḳhavās
zaḳhmoñ ke muñh shigāf hue bū-e-zulf se
rakhtā hai mushk marham-e-tezāb kā ḳhavās
kyūñkar paḌhūñ maiñ āyat-e-sajda jhukā ke sar
abrū ke ḳham meñ hai ḳham-e-mehrāb kā ḳhavās
barham hai us se bosa-e-ruḳhsār kī havas
rakhtī hai zulf mār-e-siyah-tāb kā ḳhavās
o sīm-bar ḳhayāl-e-azāb-e-firāq se
hāsil dil-o-jigar ko hai sīmāb kā ḳhavās
dāman kī tarah chādar-e-gardūñ ho tar abhī
dikhlā.ūñ gar maiñ dīda-e-pur-āb kā ḳhavās
shukr-e-ḳhudā ki bāzū-e-qātil meñ in dinoñ
paidā hai zor-e-rustam-o-suhrāb kā ḳhavās
ham rind tujh ko dekh ke kyūñkar na mast hoñ
āñkhoñ se hai numūd mai-e-nāb kā ḳhavās
aaya jo is meñ phir na huī muḳhlisī nasīb
āġhosh-e-qabr rakhtī hai girdāb kā ḳhavās
hangām-e-qatl gulshan-e-ḳhanjar ke lutf se
har zaḳhm-e-tan meñ thā gul-e-shādāb kā ḳhavās
aate hī fasl-e-gul mujhe behosh kar diyā
hai daur-e-ġham meñ daur-e-mai-e-nāb kā ḳhavās
āñkhoñ ne be-qarārī-e-tifl-e-sarishk se
paidā kiyā hai ma.adan-e-sīmāb kā ḳhavās
tar kījiye na mujh ko rulā kar visāl meñ
hai āstīñ meñ dāman-e-sailāb kā ḳhavās
din ko jo hai visāl to shab ko mafāriqat
hai qalb-e-yār meñ dil-e-surḳhāb kā ḳhavās
ai dil ḳhayāl-e-rū-e-munavvar ke lutf se
raushan hai dāġh-e-jism se mahtāb kā ḳhavās
kartā hai ḳhushk sūrat-e-dāman firāq meñ
har uzv-e-tan ko dīda-e-pur-āb kā ḳhavās
pī leñge ham bhī bazm meñ saaqī ke shauq se
paidā kare tū ashk-e-mai-e-nāb kā ḳhavās
ham ne 'shagufta' us lab-e-shīrīñ ko chuus kar
hāsil kiyā hai lazzat-e-'unnāb kā ḳhavās
paida kiya hai qalb ne simab ka KHawas
hasil na kyon ho mahi-e-be-ab ka KHawas
roya jo shab ko gauhar-e-dandan ki yaad mein
tha ashk-e-chashm mein dur-e-nayab ka KHawas
laega ek roz tumhein bar mein khinch kar
ai dilruba mere dil-e-betab ka KHawas
ho husn-e-la-zawal ka kuchh aur hi kamal
mahtab gar bane mere mahtab ka KHawas
zaKHmon ke munh shigaf hue bu-e-zulf se
rakhta hai mushk marham-e-tezab ka KHawas
kyunkar paDhun main aayat-e-sajda jhuka ke sar
abru ke KHam mein hai KHam-e-mehrab ka KHawas
barham hai us se bosa-e-ruKHsar ki hawas
rakhti hai zulf mar-e-siyah-tab ka KHawas
o sim-bar KHayal-e-azab-e-firaq se
hasil dil-o-jigar ko hai simab ka KHawas
daman ki tarah chadar-e-gardun ho tar abhi
dikhlaun gar main dida-e-pur-ab ka KHawas
shukr-e-KHuda ki bazu-e-qatil mein in dinon
paida hai zor-e-rustam-o-suhrab ka KHawas
hum rind tujh ko dekh ke kyunkar na mast hon
aankhon se hai numud mai-e-nab ka KHawas
aaya jo is mein phir na hui muKHlisi nasib
aaghosh-e-qabr rakhti hai girdab ka KHawas
hangam-e-qatl gulshan-e-KHanjar ke lutf se
har zaKHm-e-tan mein tha gul-e-shadab ka KHawas
aate hi fasl-e-gul mujhe behosh kar diya
hai daur-e-gham mein daur-e-mai-e-nab ka KHawas
aankhon ne be-qarari-e-tifl-e-sarishk se
paida kiya hai madan-e-simab ka KHawas
tar kijiye na mujh ko rula kar visal mein
hai aastin mein daman-e-sailab ka KHawas
din ko jo hai visal to shab ko mafariqat
hai qalb-e-yar mein dil-e-surKHab ka KHawas
ai dil KHayal-e-ru-e-munawwar ke lutf se
raushan hai dagh-e-jism se mahtab ka KHawas
karta hai KHushk surat-e-daman firaq mein
har uzw-e-tan ko dida-e-pur-ab ka KHawas
pi lenge hum bhi bazm mein saqi ke shauq se
paida kare tu ashk-e-mai-e-nab ka KHawas
hum ne 'shagufta' us lab-e-shirin ko chus kar
hasil kiya hai lazzat-e-'unnab ka KHawas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.