paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand
paikāñ jigar-pasand hai ḳhanjar gulū-pasand
qātil mujhe qubūl kare jis ko tū pasand
paikāñ ko zahr hī meñ bujhā le vo but kahīñ
hogā na tauf-e-kā'ba-e-dil be-vuzū pasand
pīr-e-muġhāñ ko DhūñDh liyā ḳhizr mil ga.e
hai mere mudda.ā ko mirī justujū pasand
kahte haiñ arz-e-vasl-o-tamannā-e-qatl par
ye aarzū pasand na vo aarzū pasand
yā-rab girāñ ho qīmat-e-dil-hā-e-āshiqāñ
yā kauḌiyoñ ke mol bike chār-sū pasand
thā ḳhud-pasandiyoñ pe mujhe naaz kis liye
maiñ tujh ko nā-pasand rahā mujh ko tū pasand
tere gale kā haar rahe kaash dast-e-shauq
mazmūn-e-vasl ko hai bayāz-e-gulū pasand
zāhid ye apnī apnī pasand apnī apnī aañkh
zarf-e-vazū tujhe mujhe jām-o-subū pasand
paikāñ pe jo jigar ho mujhe vo jigar qubūl
mizhgāñ pe jo lahū ho mujhe vo lahū pasand
ābādī-e-harīm-e-dil-o-jāñ hai jis kī yaad
vo ḳhūb-rū pasand hai vo ḳhush-gulū pasand
ye shukr kā maqām hai ye faḳhr kī jagah
'rāsiḳh' se ḳhud-pasand ko aaya hai tū pasand
paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand
qatil mujhe qubul kare jis ko tu pasand
paikan ko zahr hi mein bujha le wo but kahin
hoga na tauf-e-ka'ba-e-dil be-wuzu pasand
pir-e-mughan ko DhunDh liya KHizr mil gae
hai mere muddaa ko meri justuju pasand
kahte hain arz-e-wasl-o-tamanna-e-qatl par
ye aarzu pasand na wo aarzu pasand
ya-rab giran ho qimat-e-dil-ha-e-ashiqan
ya kauDiyon ke mol bike chaar-su pasand
tha KHud-pasandiyon pe mujhe naz kis liye
main tujh ko na-pasand raha mujh ko tu pasand
tere gale ka haar rahe kash dast-e-shauq
mazmun-e-wasl ko hai bayaz-e-gulu pasand
zahid ye apni apni pasand apni apni aankh
zarf-e-wazu tujhe mujhe jam-o-subu pasand
paikan pe jo jigar ho mujhe wo jigar qubul
mizhgan pe jo lahu ho mujhe wo lahu pasand
aabaadi-e-harim-e-dil-o-jaan hai jis ki yaad
wo KHub-ru pasand hai wo KHush-gulu pasand
ye shukr ka maqam hai ye faKHr ki jagah
'rasiKH' se KHud-pasand ko aaya hai tu pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.