paikar-e-KHaki ye mana maut se do-chaar hai
paikar-e-ḳhākī ye maanā maut se do-chār hai
zindagī terā magar rasta bahut dushvār hai
jo hai muflis vo zamāne meñ zalīl-o-ḳhvār hai
māl-o-zar ho paas jis ke sāhab-e-kirdār hai
ris rahā hai ḳhuuñ badan se bhīgtā hai pairahan
zaḳhm hai mere jigar kā yā ki lāla-zār hai
ḳhūn-e-dil se maiñ ne sīñchā hai tujhe ai zindagī
mere hī dam se to ye chehrā tirā gulzār hai
bhaap ban kar uḌ gayā merī rag-e-jāñ se lahū
bārisheñ ab ḳhuun kī hoñgī yahī āsār hai
jaane kis kī justujū ye kar rahe haiñ roz-o-shab
chāñd sūraj ke liye ik manzil-e-dushvār hai
bik rahe haiñ dīn-o-īmāñ bik rahe haiñ jism-o-jāñ
ye jahān-e-ārzū ik misr kā bāzār hai
aap ke dil kā muamma zehn ne hal kar liyā
aap ke inkār hī meñ aap kā iqrār hai
munfarid merī zabāñ hai ḳhūb-tar merā bayāñ
fikr kā 'tauqīr' ik dariyā pas-e-dīvār hai
paikar-e-KHaki ye mana maut se do-chaar hai
zindagi tera magar rasta bahut dushwar hai
jo hai muflis wo zamane mein zalil-o-KHwar hai
mal-o-zar ho pas jis ke sahab-e-kirdar hai
ris raha hai KHun badan se bhigta hai pairahan
zaKHm hai mere jigar ka ya ki lala-zar hai
KHun-e-dil se main ne sincha hai tujhe ai zindagi
mere hi dam se to ye chehra tera gulzar hai
bhap ban kar uD gaya meri rag-e-jaan se lahu
barishen ab KHun ki hongi yahi aasar hai
jaane kis ki justuju ye kar rahe hain roz-o-shab
chand suraj ke liye ek manzil-e-dushwar hai
bik rahe hain din-o-iman bik rahe hain jism-o-jaan
ye jahan-e-arzu ek misr ka bazar hai
aap ke dil ka muamma zehn ne hal kar liya
aap ke inkar hi mein aap ka iqrar hai
munfarid meri zaban hai KHub-tar mera bayan
fikr ka 'tauqir' ek dariya pas-e-diwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.