paikar-e-lala-o-gul hai use patthar na kaho
paikar-e-lāla-o-gul hai use patthar na kaho
vo hai mahbūb mirā us ko sitamgar na kaho
ye to sach hai ki ḳhudā ne hai diyā sabr mujhe
phir bhī ayyūb nahīñ mujh ko payambar na kaho
apnī taḳhlīq ko bechā nahīñ karte fankār
but-faroshoñ ko kabhī bhuul ke aazar na kaho
muntashir sadiyoñ se haiñ tār-e-garebāñ kī tarah
ham haiñ aurāq-e-pareshāñ hameñ daftar na kaho
dosto kuchh to kaho taaki maiñ ḳhud ko jānūñ
mujh ko bad-tar hī kaho gar mujhe behtar na kaho
vo to pāgal hai jise kahte haiñ sab log 'umar'
aise dīvāne ko dānā-o-qalandar na kaho
paikar-e-lala-o-gul hai use patthar na kaho
wo hai mahbub mera us ko sitamgar na kaho
ye to sach hai ki KHuda ne hai diya sabr mujhe
phir bhi ayyub nahin mujh ko payambar na kaho
apni taKHliq ko becha nahin karte fankar
but-faroshon ko kabhi bhul ke aazar na kaho
muntashir sadiyon se hain tar-e-gareban ki tarah
hum hain auraq-e-pareshan hamein daftar na kaho
dosto kuchh to kaho taki main KHud ko jaanun
mujh ko bad-tar hi kaho gar mujhe behtar na kaho
wo to pagal hai jise kahte hain sab log 'umar'
aise diwane ko dana-o-qalandar na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.