paikar hai insan nahin hai
paikar hai insān nahīñ hai
patthar hai bhagvān nahīñ hai
vahshat kā saaya hai lipTā
sar par ab qur.ān nahīñ hai
īmāñ kā bhī haal na pūchho
vo dil kā mehmān nahīñ hai
sajda jis par kareñ jabīneñ
kamtar vo asthān nahīñ hai
aa.e yahāñ aur bas na paa.e
aisā hindostān nahīñ hai
sab par bhārī ek qalandar
jo mīr-o-sultān nahīñ hai
'rāg' ye apnā dil hai raushan
ye jaltā shamshān nahīñ hai
paikar hai insan nahin hai
patthar hai bhagwan nahin hai
wahshat ka saya hai lipTa
sar par ab quran nahin hai
iman ka bhi haal na puchho
wo dil ka mehman nahin hai
sajda jis par karen jabinen
kamtar wo asthan nahin hai
aae yahan aur bas na pae
aisa hindostan nahin hai
sab par bhaari ek qalandar
jo mir-o-sultan nahin hai
'rag' ye apna dil hai raushan
ye jalta shamshan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.