paimane hi kya saghar-e-jam TuT rahe hain
paimāne hī kyā sāġhar-e-jam TuuT rahe haiñ
is daur meñ sadiyoñ ke bharam TuuT rahe haiñ
ik ham hī yagāna to nahīñ dahr meñ phir bhī
ham par hī zamāne ke sitam TuuT rahe haiñ
rah rah ke chamakte haiñ yaqīñ ke na.e teshe
auhām ke bosīda sanam TuuT rahe haiñ
paimane hi kya saghar-e-jam TuT rahe hain
is daur mein sadiyon ke bharam TuT rahe hain
ek hum hi yagana to nahin dahr mein phir bhi
hum par hi zamane ke sitam TuT rahe hain
rah rah ke chamakte hain yaqin ke nae teshe
auham ke bosida sanam TuT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.