pairahan jism pe aur munh mein niwala hota
pairahan jism pe aur muñh meñ nivālā hotā
kaash har shaḳhs ke āñgan meñ ujālā hotā
chhoḌ kar shāḳh na jaate ye parinde shāyad
pyaar se ham ne agar un ko sañbhālā hotā
rābta toḌ diyā ek hī jhaTke meñ kyoñ
guftugū kar ke koī hal to nikālā hotā
itne rishtoñ ko bikharne se bachā sakte the
kaash is pal ko kisī tarah to Taalā hotā
mil ke rahte jo mohabbat se sabhī gul is meñ
phir to gulshan kā nazāra hī nirālā hotā
kho chuke hote udāsī ke samundar meñ ham
ḳhud ko gar vaqt ke sāñche meñ na Dhālā hotā
ham bhī auroñ kī tarah vaqt pe sote 'madhuman'
rog ham ne jo suḳhan kā nahīñ paalā hotā
pairahan jism pe aur munh mein niwala hota
kash har shaKHs ke aangan mein ujala hota
chhoD kar shaKH na jate ye parinde shayad
pyar se hum ne agar un ko sanbhaala hota
rabta toD diya ek hi jhaTke mein kyon
guftugu kar ke koi hal to nikala hota
itne rishton ko bikharne se bacha sakte the
kash is pal ko kisi tarah to Tala hota
mil ke rahte jo mohabbat se sabhi gul is mein
phir to gulshan ka nazara hi nirala hota
kho chuke hote udasi ke samundar mein hum
KHud ko gar waqt ke sanche mein na Dhaala hota
hum bhi auron ki tarah waqt pe sote 'madhuman'
rog hum ne jo suKHan ka nahin pala hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.