pairon mein kai zaKHm hain chehre pe thakan hai
pairon mein kai zaKHm hain chehre pe thakan hai
Arshad Rasool Badayuni
MORE BYArshad Rasool Badayuni
pairoñ meñ ka.ī zaḳhm haiñ chehre pe thakan hai
mazdūr ke māthe pe pasīna na shikan hai
mausam hai bahāroñ kā 'ajab sī ye ghuTan hai
zaḳhmī mire gulzār ke har phuul kā tan hai
allah kī qasam ham haiñ mohabbat ke pujārī
sajde bhī hamāre haiñ hamārā hī bhajan hai
mar kar bhī mirī ruuh se aa.egī ye āvāz
ye merā vatan merā vatan merā vatan hai
karte hī nahīñ log buzurgoñ se koī baat
kahte haiñ purāne kahāñ sikkoñ kā chalan hai
rah jā.egī rakhī huī duniyā kī tamanna
'arshad' tirī qismat meñ agar terā vatan hai
pairon mein kai zaKHm hain chehre pe thakan hai
mazdur ke mathe pe pasina na shikan hai
mausam hai bahaaron ka 'ajab si ye ghuTan hai
zaKHmi mere gulzar ke har phul ka tan hai
allah ki qasam hum hain mohabbat ke pujari
sajde bhi hamare hain hamara hi bhajan hai
mar kar bhi meri ruh se aaegi ye aawaz
ye mera watan mera watan mera watan hai
karte hi nahin log buzurgon se koi baat
kahte hain purane kahan sikkon ka chalan hai
rah jaegi rakhi hui duniya ki tamanna
'arshad' teri qismat mein agar tera watan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.