pal bhar ka bharosa nahin saman bahut hai
pal bhar kā bharosa nahīñ sāmān bahut hai
ye soch ke dil merā pareshān bahut hai
shohrat kī zamāne meñ tamanna na karo tum
aḳhlāq hī insān kī pahchān bahut hai
tum kaise bhulā pāoge bhaa.ī kī mohabbat
dīvār uThā lenā to āsān bahut hai
uḌ jā.eñge ik roz ye le kar ke qafas bhī
mazlūm parindoñ meñ abhī jaan bahut hai
jis samt bhī jāoge tumheñ pyaar milegā
nafrat kā mire shahr meñ fuqdān bahut hai
tahzīb-o-saqāfat hameñ virse meñ milī aur
ajdād kā ham logoñ pe ehsān bahut hai
har haal meñ rakkhā hameñ ḳhush-hāl jahāñ meñ
allah kā 'qamar' ham pe ye ehsān bahut hai
pal bhar ka bharosa nahin saman bahut hai
ye soch ke dil mera pareshan bahut hai
shohrat ki zamane mein tamanna na karo tum
aKHlaq hi insan ki pahchan bahut hai
tum kaise bhula paoge bhai ki mohabbat
diwar uTha lena to aasan bahut hai
uD jaenge ek roz ye le kar ke qafas bhi
mazlum parindon mein abhi jaan bahut hai
jis samt bhi jaoge tumhein pyar milega
nafrat ka mere shahr mein fuqdan bahut hai
tahzib-o-saqafat hamein wirse mein mili aur
ajdad ka hum logon pe ehsan bahut hai
har haal mein rakkha hamein KHush-haal jahan mein
allah ka 'qamar' hum pe ye ehsan bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.