pal bhar ko jis mein chain na aae chhoD do us kashane ko
pal bhar ko jis mein chain na aae chhoD do us kashane ko
Buta Khan Rajas
MORE BYButa Khan Rajas
pal bhar ko jis meñ chain na aa.e chhoḌ do us kāshāne ko
gulshan hī jab ki raas nahīñ ābād karo vīrāne ko
hijr kī raat thī itnī lambī kaaTe se naañ kaTtī thī
ġham kī jot jagā.ī maiñ ne is dil ke bahlāne ko
kyā kyā ne.amat baḳhshī hai us pyāre ne ye mat pūchho
dard diyā kuchh daaġh diye aur ashk diye pī jaane ko
koī to ta.abīr batā.e ḳhvāb ik maiñ ne dekhā hai
masjid ko sab riñd chale aur shaiḳh chale maiḳhāne ko
āñdhī aur tūfān bhī is ko rok sake na rāhoñ meñ
duur se aayā hai parvāna sham.a hī par miT jaane ko
ūñchī nīchī tirchhī TeḌhī sab rāheñ jo dekh chukā
kaun aa kar samjhā.egā ab is 'rājas' dīvāne ko
pal bhar ko jis mein chain na aae chhoD do us kashane ko
gulshan hi jab ki ras nahin aabaad karo virane ko
hijr ki raat thi itni lambi kaTe se nan kaTti thi
gham ki jot jagai main ne is dil ke bahlane ko
kya kya neamat baKHshi hai us pyare ne ye mat puchho
dard diya kuchh dagh diye aur ashk diye pi jaane ko
koi to tabir batae KHwab ek main ne dekha hai
masjid ko sab rind chale aur shaiKH chale maiKHane ko
aandhi aur tufan bhi is ko rok sake na rahon mein
dur se aaya hai parwana shama hi par miT jaane ko
unchi nichi tirchhi TeDhi sab rahen jo dekh chuka
kaun aa kar samjhaega ab is 'rajas' diwane ko
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 268)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.