pal-do-pal ko ubhra hi tha Dub gaya
pal-do-pal ko ubhrā hī thā Duub gayā
shor-sharābe meñ sannāTā Duub gayā
chanchal armānoñ kā dariyā Duub gayā
reg-zār meñ dil ke kyā kyā Duub gayā
ishq dostī azm-e-vafā aur sachchā.ī
majbūrī meñ har ik jazba Duub gayā
sāhil par to us ke lākhoñ sāthī the
jab Duubā vo shaḳhs akelā Duub gayā
duur ufuq ke paar tilismī vaadī meñ
vo dekho ik aur sitārā Duub gayā
ḳhush-hālī kī dhuup meñ sañg sañg rahā mere
zulmat meñ vo merā saaya Duub gayā
āñkheñ thiiñ yā vo madirā kā sāgar thiiñ
kyā kartā pardesī pyāsā Duub gayā
kār-e-ḳhair meñ dhan ko luTāyā 'sīmā' ne
kis ne kahā us kā sarmāya Duub gayā
pal-do-pal ko ubhra hi tha Dub gaya
shor-sharabe mein sannaTa Dub gaya
chanchal armanon ka dariya Dub gaya
reg-zar mein dil ke kya kya Dub gaya
ishq dosti azm-e-wafa aur sachchai
majburi mein har ek jazba Dub gaya
sahil par to us ke lakhon sathi the
jab Duba wo shaKHs akela Dub gaya
dur ufuq ke par tilismi wadi mein
wo dekho ek aur sitara Dub gaya
KHush-haali ki dhup mein sang sang raha mere
zulmat mein wo mera saya Dub gaya
aankhen thin ya wo madira ka sagar thin
kya karta pardesi pyasa Dub gaya
kar-e-KHair mein dhan ko luTaya 'sima' ne
kis ne kaha us ka sarmaya Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.