pal mein karti hain be-KHabar aankhen
pal meñ kartī haiñ be-ḳhabar āñkheñ
haiñ 'ajab terī jādūgar āñkheñ
mere bin tum bhī rah na pāoge
jaao mujh se na pher kar āñkheñ
jaane kyā kyā bayān kartī haiñ
āñsuoñ se ye tar-ba-tar āñkheñ
aap tashrīf to kabhī laa.eñ
ham bichhā.eñ zamīn par āñkheñ
dil kī tah meñ utar gayā hai vo
merī āñkhoñ meñ Daal kar āñkheñ
band āñkhoñ meñ ḳhvāb aate haiñ
ḳhvāb dekho na khol kar āñkheñ
ab kahāñ āñsuoñ kī aamad hai
ab to 'shādāñ' haiñ ḳhuuñ se tar āñkheñ
pal mein karti hain be-KHabar aankhen
hain 'ajab teri jadugar aankhen
mere bin tum bhi rah na paoge
jao mujh se na pher kar aankhen
jaane kya kya bayan karti hain
aansuon se ye tar-ba-tar aankhen
aap tashrif to kabhi laen
hum bichhaen zamin par aankhen
dil ki tah mein utar gaya hai wo
meri aankhon mein Dal kar aankhen
band aankhon mein KHwab aate hain
KHwab dekho na khol kar aankhen
ab kahan aansuon ki aamad hai
ab to 'shadan' hain KHun se tar aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.