pal mein yari kar lete ho
pal meñ yaarī kar lete ho
bāteñ achchhī kar lete ho
kahe binā maiñ rah nahīñ pā.ūñ
qaabū dil bhī kar lete ho
jis ke saath bhī jaao usī ko
parchhā.īñ sī kar lete ho
chunte ho tum mushkil maqsad
aur hāsil bhī kar lete ho
dil meñ kyā hai pata hai tum ko
tum an-dekhī kar lete ho
ham se khul kar aisī bāteñ
bas ik tum hī kar lete ho
tum se duur raheñ ham be-shak
tum tai duurī kar lete ho
be-sabrī bhī dekh chuke haiñ
intizār bhī kar lete ho
hameñ bhulā bhī dete ho tum
lekin yaad bhī kar lete ho
jab is darja betābi hai
kaise tasallī kar lete ho
kabhī kabhār to bāteñ 'anjum'
binā baat bhī kar lete ho
pal mein yari kar lete ho
baaten achchhi kar lete ho
kahe bina main rah nahin paun
qabu dil bhi kar lete ho
jis ke sath bhi jao usi ko
parchhain si kar lete ho
chunte ho tum mushkil maqsad
aur hasil bhi kar lete ho
dil mein kya hai pata hai tum ko
tum an-dekhi kar lete ho
hum se khul kar aisi baaten
bas ek tum hi kar lete ho
tum se dur rahen hum be-shak
tum tai duri kar lete ho
be-sabri bhi dekh chuke hain
intizar bhi kar lete ho
hamein bhula bhi dete ho tum
lekin yaad bhi kar lete ho
jab is darja betabi hai
kaise tasalli kar lete ho
kabhi kabhaar to baaten 'anjum'
bina baat bhi kar lete ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.