pal pal ghor andhera phir bhi ujli ujli baat karun
pal pal ghor andhera phir bhi ujli ujli baat karun
Shabbir Ahmad Qarar
MORE BYShabbir Ahmad Qarar
pal pal ghor añdherā phir bhī ujlī ujlī baat karūñ
rag rag meñ ik nuur basā hai kyoñ fikr-e-zulmāt karūñ
bachchoñ ne bhī har mausam ko jeb meñ rakhnā siikh liyā
kyā us par bhī ghar āñgan meñ va.adoñ kī barsāt karūñ
apne moharram ghar meñ rakkhūñ eid kā din ban kar niklūñ
majlis majlis mātam kar ke maiñ kyoñ din ko raat karūñ
chaltā purza banñe vaale dekhā to pasmāñda the
aise vaise shahroñ ko jab tab chāhūñ dehāt karūñ
fikr-o-fan kā chehra utre paanī paanī hoñ alfāz
ā.ina-e-iz.hār meñ kyūñkar us ke ruḳh kī baat karūñ
pal pal ghor andhera phir bhi ujli ujli baat karun
rag rag mein ek nur basa hai kyon fikr-e-zulmat karun
bachchon ne bhi har mausam ko jeb mein rakhna sikh liya
kya us par bhi ghar aangan mein wadon ki barsat karun
apne moharram ghar mein rakkhun eid ka din ban kar niklun
majlis majlis matam kar ke main kyon din ko raat karun
chalta purza banne wale dekha to pasmanda the
aise waise shahron ko jab tab chahun dehat karun
fikr-o-fan ka chehra utre pani pani hon alfaz
aaina-e-izhaar mein kyunkar us ke ruKH ki baat karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.