pal pal meri KHwahish ko phir angez kiye jae
pal pal mirī ḳhvāhish ko phir añgez kiye jaa.e
mujh ko vo mire zarf meñ labrez kiye jaa.e
ye kaun hai jo aag sī dahkā.e lahū meñ
andar se mirī pyaas ko chañgez kiye jaa.e
saudā hai koī sar meñ to phir TūTegī zanjīr
dīvāna abhī raqs-e-junūñ tez kiye jaa.e
goyā mirī ḳhushbū ko vo pahchān gayā hai
achchhā hai ki mujh se abhī parhez kiye jaa.e
paa.e na mirī gard-e-safar bhī ye zamāna
raftār bahut hai jo vo mahmez kiye jaa.e
rakkhe yūñhī shādāb mujhe kisht-e-ġhazal meñ
mausam tirā miTTī mirī zarḳhez kiye jaa.e
pal pal meri KHwahish ko phir angez kiye jae
mujh ko wo mere zarf mein labrez kiye jae
ye kaun hai jo aag si dahkae lahu mein
andar se meri pyas ko changez kiye jae
sauda hai koi sar mein to phir TuTegi zanjir
diwana abhi raqs-e-junun tez kiye jae
goya meri KHushbu ko wo pahchan gaya hai
achchha hai ki mujh se abhi parhez kiye jae
pae na meri gard-e-safar bhi ye zamana
raftar bahut hai jo wo mahmez kiye jae
rakkhe yunhi shadab mujhe kisht-e-ghazal mein
mausam tera miTTi meri zarKHez kiye jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.