palaT ke dida-e-hairan bhi nahin laya
palaT ke dīda-e-hairān bhī nahīñ laayā
maiñ apne saath ye pahchān bhī nahīñ laayā
safar meñ raḳht-e-safar se bhī bojh baḌhtā hai
isī liye to maiñ sāmān bhī nahīñ laayā
kahīñ badal na gayā ho samundaroñ kā mizāj
mah-e-tamām to haijān bhī nahīñ laayā
kisī tarah nahīñ lagtā mire qabīle kā
jo shaḳhs ḳhvāb meñ imkān bhī nahīñ laayā
ta.alluqāt meñ kuchh haiñ abhī nasheb-o-farāz
magar maiñ zehn meñ kuchh Thaan bhī nahīñ laayā
ajab sarāb-zada thā ufuq meñ Dūbtā chāñd
kisī ke chehre pe muskān bhī nahīñ laayā
bikhar gayā sar-e-sahrā 'kafīl' aur maiñ dekh
sukūt-e-dasht meñ tūfān bhī nahīñ laayā
palaT ke dida-e-hairan bhi nahin laya
main apne sath ye pahchan bhi nahin laya
safar mein raKHt-e-safar se bhi bojh baDhta hai
isi liye to main saman bhi nahin laya
kahin badal na gaya ho samundaron ka mizaj
mah-e-tamam to haijaan bhi nahin laya
kisi tarah nahin lagta mere qabile ka
jo shaKHs KHwab mein imkan bhi nahin laya
talluqat mein kuchh hain abhi nasheb-o-faraaz
magar main zehn mein kuchh Than bhi nahin laya
ajab sarab-zada tha ufuq mein Dubta chand
kisi ke chehre pe muskan bhi nahin laya
bikhar gaya sar-e-sahra 'kafil' aur main dekh
sukut-e-dasht mein tufan bhi nahin laya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.