palken jhapak saki na nazar waqt tham gaya
palkeñ jhapak sakī na nazar vaqt tham gayā
dekhā udhar zarā to idhar vaqt tham gayā
biite dinoñ kī gard se ham ko pata chalā
varna kahāñ thī koī ḳhabar vaqt tham gayā
jaise bichhaḌ ke ham se vo jā baiThā moḌ pe
aise dikhā ke rāhguzar vaqt tham gayā
lamhe to sab ravāñ the barābar qatār meñ
ye sochte haiñ kaise magar vaqt tham gayā
kyā biich raah koī sadī ne sadā.eñ diiñ
kyoñ ḳhatm kar ke apnā safar vaqt tham gayā
mere sivā na koī thā rāhoñ meñ duur tak
phir kaun kah gayā ki Thahar vaqt tham gayā
baiThe haiñ intizār meñ 'parvez' ham idhar
maazī ko le ke jaane kidhar vaqt tham gayā
palken jhapak saki na nazar waqt tham gaya
dekha udhar zara to idhar waqt tham gaya
bite dinon ki gard se hum ko pata chala
warna kahan thi koi KHabar waqt tham gaya
jaise bichhaD ke hum se wo ja baiTha moD pe
aise dikha ke rahguzar waqt tham gaya
lamhe to sab rawan the barabar qatar mein
ye sochte hain kaise magar waqt tham gaya
kya bich rah koi sadi ne sadaen din
kyon KHatm kar ke apna safar waqt tham gaya
mere siwa na koi tha rahon mein dur tak
phir kaun kah gaya ki Thahar waqt tham gaya
baiThe hain intizar mein 'parwez' hum idhar
mazi ko le ke jaane kidhar waqt tham gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.