palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin
palkeñ niiñd se bojhal haiñ yā ab manzar kī taab nahīñ
kyoñ in jaltī āñkhoñ meñ ab rañg-birañge ḳhvāb nahīñ
ik muddat se kis nātiq kī nok-e-zabāñ par aTkā huuñ
maiñ ik lafz huuñ goyā vo bhī ma.anī se sairāb nahīñ
āñkheñ haiñ yā ḳhār-e-muġhīlāñ chehra hai yā sahrā hai
lafz bahut nāyāb haiñ pyāre dard magar nāyāb nahīñ
merī balā se jhukne vāloñ meñ ma.abūd bhī shāmil hoñ
lekin mere sajdoñ meñ but-ḳhāne ke ādāb nahīñ
fitrat kā paiġhambar kyā jaane samjhaute kī bāteñ
dariyā muḌ sakte haiñ lekin dariyā ke sailāb nahīñ
āñkheñ aur chuneñgī kab tak āḳhir manzar kī kircheñ
mujh meñ to ab jaise apnī nazroñ kī bhī taab nahīñ
palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin
kyon in jalti aankhon mein ab rang-birange KHwab nahin
ek muddat se kis natiq ki nok-e-zaban par aTka hun
main ek lafz hun goya wo bhi mani se sairab nahin
aankhen hain ya KHar-e-mughilan chehra hai ya sahra hai
lafz bahut nayab hain pyare dard magar nayab nahin
meri bala se jhukne walon mein mabud bhi shamil hon
lekin mere sajdon mein but-KHane ke aadab nahin
fitrat ka paighambar kya jaane samjhaute ki baaten
dariya muD sakte hain lekin dariya ke sailab nahin
aankhen aur chunengi kab tak aaKHir manzar ki kirchen
mujh mein to ab jaise apni nazron ki bhi tab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.