palkon pe intizar ka mausam saja liya
palkoñ pe intizār kā mausam sajā liyā
us se bichhaḌ ke rog gale se lagā liyā
koī to aisī baat thī ham kuchh na kar sake
saare jahāñ meñ ḳhud ko tamāsha banā liyā
ab ye kise batā.eñ hameñ kyā ḳhushī milī
jis din zarā sā bojh kisī kā uThā liyā
maiñ umr bhar na jaane bhaTaktā kahāñ kahāñ
achchhā huā jo aap ne apnā banā liyā
kitne sakūñ se kaaT dī purkhoñ ne zindagī
jo mil gayā nasīb se chup-chāp khā liyā
ahbāb ko na dījiye ilzām dosto
ham ne to dushmanoñ ko bhī apnā banā liyā
guzre haiñ zindagī meñ bahut tajrabāt se
lekin 'ashok' jiine kā andāz pā liyā
palkon pe intizar ka mausam saja liya
us se bichhaD ke rog gale se laga liya
koi to aisi baat thi hum kuchh na kar sake
sare jahan mein KHud ko tamasha bana liya
ab ye kise bataen hamein kya KHushi mili
jis din zara sa bojh kisi ka uTha liya
main umr bhar na jaane bhaTakta kahan kahan
achchha hua jo aap ne apna bana liya
kitne sakun se kaT di purkhon ne zindagi
jo mil gaya nasib se chup-chap kha liya
ahbab ko na dijiye ilzam dosto
hum ne to dushmanon ko bhi apna bana liya
guzre hain zindagi mein bahut tajrabaat se
lekin 'ashok' jine ka andaz pa liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.