palkon pe larazte rahe aansu ki tarah hum
palkoñ pe larazte rahe aañsū kī tarah ham
ghar meñ tire mahkā kiye ḳhushbū kī tarah ham
sūraj ke liye chhoḌā thā us ne hameñ phir bhī
rātoñ ko satāte rahe jugnū kī tarah ham
aate rahe jaate rahe kashtī ke musāfir
pairoñ se lipaTte rahe baalū kī tarah ham
rekhā hai khiñchī aur na hai siitā koī ghar meñ
is shahr meñ kyuuñ phirte haiñ sādhū kī tarah ham
ġhairoñ se ziyāda hameñ apnoñ ne satāyā
is mulk meñ zinda rahe urdu kī tarah ham
palkon pe larazte rahe aansu ki tarah hum
ghar mein tere mahka kiye KHushbu ki tarah hum
suraj ke liye chhoDa tha us ne hamein phir bhi
raaton ko satate rahe jugnu ki tarah hum
aate rahe jate rahe kashti ke musafir
pairon se lipaTte rahe baalu ki tarah hum
rekha hai khinchi aur na hai sita koi ghar mein
is shahr mein kyun phirte hain sadhu ki tarah hum
ghairon se ziyaada hamein apnon ne sataya
is mulk mein zinda rahe urdu ki tarah hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.