Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun

Yaseen Afzal

palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun

Yaseen Afzal

MORE BYYaseen Afzal

    palkoñ pe rukā qatra-e-muztar tarah huuñ

    bāhar se bhī bechain maiñ andar tarah huuñ

    bāhar se mire jism dīvār khaḌī hai

    andar se maiñ ik TuuTe hue ghar tarah huuñ

    nazroñ se girā do ki mujhe devtā maano

    patthar ke tarāshe hue paikar tarah huuñ

    chhā.ī haiñ mire sar pe siyah-posh ghaTā.eñ

    maiñ sub.h meñ bhī shaam ke manzar tarah huuñ

    andar chaTānoñ se na Takrā ke bikhar jā.ūñ

    maiñ biphrā huā ḳhud pe samundar tarah huuñ

    tum jalva-numā ho to khulī haiñ mirī āñkheñ

    aa lipTo badan se to maiñ chādar tarah huuñ

    rahtā hai kahīñ jism bhaTaktī hai kahīñ ruuh

    ghar meñ huuñ magar aaj maiñ be-ghar tarah huuñ

    aqdār uThtī huī dīvār meñ chun lo

    raste meñ paḌā maiñ kisī patthar tarah huuñ

    palkon pe ruka qatra-e-muztar ki tarah hun

    bahar se bhi bechain main andar ki tarah hun

    bahar se mere jism ki diwar khaDi hai

    andar se main ek TuTe hue ghar ki tarah hun

    nazron se gira do ki mujhe dewta mano

    patthar ke tarashe hue paikar ki tarah hun

    chhai hain mere sar pe siyah-posh ghaTaen

    main subh mein bhi sham ke manzar ki tarah hun

    andar ki chaTanon se na Takra ke bikhar jaun

    main biphra hua KHud pe samundar ki tarah hun

    tum jalwa-numa ho to khuli hain meri aankhen

    aa lipTo badan se to main chadar ki tarah hun

    rahta hai kahin jism bhaTakti hai kahin ruh

    ghar mein hun magar aaj main be-ghar ki tarah hun

    aqdar ki uThti hui diwar mein chun lo

    raste mein paDa main kisi patthar ki tarah hun

    Source :
    • Book : Pani Patthar (Pg. 88)
    • Author : Yasiin Afzaal
    • Publication : Maktaba Fikr-e-Nav (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now