palkon se apne bhule hue KHwab bandh len
palkoñ se apne bhūle hue ḳhvāb bāñdh leñ
jab Thaan lī safar kī to asbāb bāñdh leñ
sāhil pe koī ġhol na us par jhapaT paḌe
DhūñDā hai jo ḳhazīna tah-e-āb bāñdh leñ
is āḳhirī nazāre ko gar apnā bas chale
har shai kī dauḌ se dil-e-be-tāb bāñdh leñ
jiinā to hai zarūr magar apne ird-gird
kyuuñ ik hisār-e-gumbad-o-mehrāb bāñdh leñ
yuuñ ho ki aarzū na ubhar paa.e phir kabhī
dil ke lahū se rishta-e-girdāb bāñdh leñ
shāne se ab sarakne lagī hai salīb-e-ġham
ruk kar zarā bikharte hue ḳhvāb bāñdh leñ
minhā kuchh aise apnī hī tahrīr se hue
jo bach rahā hai ab vahī asbāb bāñdh leñ
'shāhīn' us kī nazr kareñge ḳhirāj-e-dil
shīrāza-e-junūñ meñ nayā baab bāñdh leñ
palkon se apne bhule hue KHwab bandh len
jab Than li safar ki to asbab bandh len
sahil pe koi ghol na us par jhapaT paDe
DhunDa hai jo KHazina tah-e-ab bandh len
is aaKHiri nazare ko gar apna bas chale
har shai ki dauD se dil-e-be-tab bandh len
jina to hai zarur magar apne ird-gird
kyun ek hisar-e-gumbad-o-mehrab bandh len
yun ho ki aarzu na ubhar pae phir kabhi
dil ke lahu se rishta-e-girdab bandh len
shane se ab sarakne lagi hai salib-e-gham
ruk kar zara bikharte hue KHwab bandh len
minha kuchh aise apni hi tahrir se hue
jo bach raha hai ab wahi asbab bandh len
'shahin' us ki nazr karenge KHiraj-e-dil
shiraaza-e-junun mein naya bab bandh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.