palTenge ruKH apna kab ye mah ye sal aaKHir
palTeñge ruḳh apnā kab ye maah ye saal āḳhir
kab tak hameñ rahnā hai yuuñ ġham se niDhāl āḳhir
kyā had se guzarnā ye ai mast-e-kamāl āḳhir
har chiiz ko duniyā meñ lāzim hai zavāl āḳhir
vo satvat-e-qaisar ho yā hashmat-e-iskandar
mil jaatā hai miTTī meñ sab jāh-o-jalāl āḳhir
maiñ tujh ko batātā huuñ kyā ishq meñ hotā hai
armān-o-talab avval andoh-o-malāl āḳhir
ye ishq jise tū ne ik mashġhala samjhā hai
kar degā tirā jiinā ḳhud tujh pa muhāl āḳhir
mahrūmī-o-nākāmī dil-sozī o jāñ-kāhī
hotā hai mohabbat kā aksar ye ma.aal āḳhir
mujh soḳhta-sāmāñ ke pahlū-e-mohabbat meñ
aaya hai ġhazal ban kar vo zohra-jamāl āḳhir
qismat ko jagāne meñ ġhaflat ko haTāne meñ
ban jā.eñge ik din ham aap apnī misāl āḳhir
zeb-e-varaq-e-dil hai ye qaul 'bahār' apnā
takmīl-e-riyāz avval tahsīl-e-kamāl āḳhir
palTenge ruKH apna kab ye mah ye sal aaKHir
kab tak hamein rahna hai yun gham se niDhaal aaKHir
kya had se guzarna ye ai mast-e-kamal aaKHir
har chiz ko duniya mein lazim hai zawal aaKHir
wo satwat-e-qaisar ho ya hashmat-e-iskandar
mil jata hai miTTi mein sab jah-o-jalal aaKHir
main tujh ko batata hun kya ishq mein hota hai
arman-o-talab awwal andoh-o-malal aaKHir
ye ishq jise tu ne ek mashghala samjha hai
kar dega tera jina KHud tujh pa muhaal aaKHir
mahrumi-o-nakaami dil-sozi o jaan-kahi
hota hai mohabbat ka aksar ye maal aaKHir
mujh soKHta-saman ke pahlu-e-mohabbat mein
aaya hai ghazal ban kar wo zohra-jamal aaKHir
qismat ko jagane mein ghaflat ko haTane mein
ban jaenge ek din hum aap apni misal aaKHir
zeb-e-waraq-e-dil hai ye qaul 'bahaar' apna
takmil-e-riyaz awwal tahsil-e-kamal aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.