pankh aTka mila hai baalon mein
pankh aTkā milā hai bāloñ meñ
krishn aa.e the kal ḳhayāloñ meñ
lākhoñ armān jism kī bandish
ruuh uljhī hai kitne jāloñ meñ
kyoñ sadā āsmān tak pahuñche
ab asar hī kahāñ hai nāloñ meñ
sochtā huuñ ki ab jalā hī duuñ
ḳhat jo sañbhle paḌe haiñ aaloñ meñ
tīrgī ham ko raas aatī hai
ḳhauf khāte haiñ ham ujāloñ meñ
baa'd barsoñ ke ḳhush hue haiñ ham
aap aa.e haiñ kitne sāloñ meñ
manzilo mujh se duur ho jaao
lutf aane lagā hai chhāloñ meñ
'sant' ke sher sīdhe-sāde haiñ
chhāpe jā.eñge kyā risāloñ meñ
pankh aTka mila hai baalon mein
krishn aae the kal KHayalon mein
lakhon arman jism ki bandish
ruh uljhi hai kitne jalon mein
kyon sada aasman tak pahunche
ab asar hi kahan hai nalon mein
sochta hun ki ab jala hi dun
KHat jo sanbhle paDe hain aalon mein
tirgi hum ko ras aati hai
KHauf khate hain hum ujalon mein
ba'd barson ke KHush hue hain hum
aap aae hain kitne salon mein
manzilo mujh se dur ho jao
lutf aane laga hai chhaalon mein
'sant' ke sher sidhe-sade hain
chhape jaenge kya risalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.