pankh hi kafi nahin parwaz ko
pankh hī kaafī nahīñ parvāz ko
toḌnā hogā qafas bhī baaz ko
sach kaho to kaaT dete haiñ zabāñ
hausla bhī chāhiye āvāz ko
tāliyāñ jhūTī bajeñ to kyā maza
ho hunar to hī bajāo saaz ko
tum bharosa aur dil mat toḌnā
raaz rakkho tum sabhī ke raaz ko
jo milā ham ko usī meñ ḳhush raheñ
duur rakkheñ ḳhud se hirs-o-āz ko
ittifāqan 'ishq un se ho gayā
kaise samjhā.eñ dil-e-nā-sāz ko
paḌh ke 'ġhālib' 'mīr' kī ġhazleñ 'amit'
shā'irī ke tū samajh andāz ko
pankh hi kafi nahin parwaz ko
toDna hoga qafas bhi baz ko
sach kaho to kaT dete hain zaban
hausla bhi chahiye aawaz ko
taliyan jhuTi bajen to kya maza
ho hunar to hi bajao saz ko
tum bharosa aur dil mat toDna
raaz rakkho tum sabhi ke raaz ko
jo mila hum ko usi mein KHush rahen
dur rakkhen KHud se hirs-o-az ko
ittifaqan 'ishq un se ho gaya
kaise samjhaen dil-e-na-saz ko
paDh ke 'ghaalib' 'mir' ki ghazlen 'amit'
sha'iri ke tu samajh andaz ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.