pankh katar kar mujhko dilbar phenk diya
pankh katar kar mujh ko dilbar pheñk diyā
ambar se dhartī pe lā kar pheñk diyā
maiñ to thā ābād nasheman par tum ne
ziist ko merī kar ke banjar pheñk diyā
apne aap ko raushan kar ke phir us ne
tiilī sā mujh ko sulgā kar pheñk diyā
jholī phailā.ī phūloñ kī ḳhvāhish meñ
merī samt uThā kar patthar pheñk diyā
pahle pyaar jatāyā mujh par ḳhuub us ne
phir zālim ne mujh par ḳhanjar pheñk diyā
aap kī izzat kī ḳhātir dekho ham ne
apne sar kā taaj zamīñ par pheñk diyā
pankh katar kar mujh ko dilbar phenk diya
ambar se dharti pe la kar phenk diya
main to tha aabaad nasheman par tum ne
zist ko meri kar ke banjar phenk diya
apne aap ko raushan kar ke phir us ne
tili sa mujh ko sulga kar phenk diya
jholi phailai phulon ki KHwahish mein
meri samt uTha kar patthar phenk diya
pahle pyar jataya mujh par KHub us ne
phir zalim ne mujh par KHanjar phenk diya
aap ki izzat ki KHatir dekho hum ne
apne sar ka taj zamin par phenk diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.