pankh phailate hi banti hain chaman mein surKHiyan
pankh phailate hi banti hain chaman mein surKHiyan
Manik Vishwakarma Navrang
MORE BYManik Vishwakarma Navrang
pankh phailāte hī bantī haiñ chaman meñ surḳhiyāñ
is liye uḌtī nahīñ haiñ baaġh meñ ab titliyāñ
sirf ik tālāb kā paanī badalne ke liye
be-sabab is mulk meñ maarī ga.ī haiñ machhliyāñ
chāñd par jaane lagī haiñ toḌ kar bandhan sabhī
baḌh rahī haiñ har dishā meñ ho ke nirbhay laḌkiyāñ
bhuuk kā 'ālam kaheñ kyā dekhte hī dekhte
jism ġhā.eb ho chukā hai dikh rahī haiñ pasliyāñ
lūTte haiñ rahnumā ban kar luTere āj-kal
kab talak barbādī kī apnī baToreñ surḳhiyāñ
chheḌnā achchhā nahīñ hotā dabī har chiiz ko
aag bantī hai havā paatī haiñ jab chingāriyāñ
gaañv kī pahchān dhūmil ho rahī hai kyā kareñ
lupt hotī jā rahī haiñ din-ba-din ab bastiyāñ
sirf bhay ātank se hone lagā hai sāmnā
ḳhvāb ban kar rah ga.ī haiñ bachpane kī mastiyāñ
'umr-bhar laḌte rahe lahroñ se mājhī ke liye
Duub jaayā kartī haiñ nazdīk taT ke kashtiyāñ
ho gayā mushkil saḌak pe ghūmnā is daur meñ
rāt-bhar sunsān path par nāchtī haiñ putliyāñ
pankh phailate hi banti hain chaman mein surKHiyan
is liye uDti nahin hain bagh mein ab titliyan
sirf ek talab ka pani badalne ke liye
be-sabab is mulk mein mari gai hain machhliyan
chand par jaane lagi hain toD kar bandhan sabhi
baDh rahi hain har disha mein ho ke nirbhay laDkiyan
bhuk ka 'alam kahen kya dekhte hi dekhte
jism ghaeb ho chuka hai dikh rahi hain pasliyan
luTte hain rahnuma ban kar luTere aaj-kal
kab talak barbaadi ki apni baToren surKHiyan
chheDna achchha nahin hota dabi har chiz ko
aag banti hai hawa pati hain jab chingariyan
ganw ki pahchan dhumil ho rahi hai kya karen
lupt hoti ja rahi hain din-ba-din ab bastiyan
sirf bhay aatank se hone laga hai samna
KHwab ban kar rah gai hain bachpane ki mastiyan
'umr-bhar laDte rahe lahron se majhi ke liye
Dub jaya karti hain nazdik taT ke kashtiyan
ho gaya mushkil saDak pe ghumna is daur mein
raat-bhar sunsan path par nachti hain putliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.