papoTe nind se bhaari dikhai dete hain
papoTe niiñd se bhārī dikhā.ī dete haiñ
qadam qadam pe shikārī dikhā.ī dete haiñ
ḳhizāñ ne kar diyā muhtāj patte pate ko
daraḳht haare juārī dikhā.ī dete haiñ
vazīr saare mire bādshāh salāmat ke
samajh se soch se aarī dikhā.ī dete haiñ
miyāñ ye ishq hai luqmān kī nahīñ suntā
ye dil ke zaḳhm to kaarī dikhā.ī dete haiñ
umūr-e-kār-e-jahāñ par ġhulām qābiz haiñ
ye hukmrān bhikārī dikhā.ī dete haiñ
vagarna din meñ sitāroñ kā koī kaam nahīñ
mire havās pe taarī dikhā.ī dete haiñ
sivā.e khel-tamāshoñ ke aur kuchh bhī nahīñ
hameñ to aap madārī dikhā.ī dete haiñ
ye tahsīl aur kachahrī meñ arziyoñ vaale
kabhī kabhī to likhārī dikhā.ī dete haiñ
papoTe nind se bhaari dikhai dete hain
qadam qadam pe shikari dikhai dete hain
KHizan ne kar diya muhtaj patte pate ko
daraKHt haare juari dikhai dete hain
wazir sare mere baadshah salamat ke
samajh se soch se aari dikhai dete hain
miyan ye ishq hai luqman ki nahin sunta
ye dil ke zaKHm to kari dikhai dete hain
umur-e-kar-e-jahan par ghulam qabiz hain
ye hukmran bhikari dikhai dete hain
wagarna din mein sitaron ka koi kaam nahin
mere hawas pe tari dikhai dete hain
siwae khel-tamashon ke aur kuchh bhi nahin
hamein to aap madari dikhai dete hain
ye tahsil aur kachahri mein arziyon wale
kabhi kabhi to likhaari dikhai dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.