par zara TuTe hue se meri taqdir ke hain
par zarā TuuTe hue se mirī taqdīr ke haiñ
hausle zinda magar aaj bhī ta.amīr ke haiñ
jab lahū aañkh se Tapkegā chamak jā.eñge
rang phīke abhī ehsās kī tasvīr ke haiñ
ḳhvāb jo tum ne dikhā.e the vo sab dekh liye
mas.ale ab to yahāñ ḳhvāb kī ta.abīr ke haiñ
ḳhuub pahchāntā hai dil tire tīroñ kā mizāj
zaḳhm jitne bhī lage haiñ vo tire tiir ke haiñ
zindagī ek tasalsul ġham-o-ālām kā hai
aur ham log bhī qaidī usī zanjīr ke haiñ
nafrateñ phuuT paḌīñ ban ke lahū kā sailāb
kitne zahrīle ye jumle tirī taqrīr ke haiñ
sāhib-e-lauh-o-qalam us ke sivā koī nahīñ
saare gul-būTe 'niyāz' us kī hī tahrīr ke haiñ
par zara TuTe hue se meri taqdir ke hain
hausle zinda magar aaj bhi tamir ke hain
jab lahu aankh se Tapkega chamak jaenge
rang phike abhi ehsas ki taswir ke hain
KHwab jo tum ne dikhae the wo sab dekh liye
masale ab to yahan KHwab ki tabir ke hain
KHub pahchanta hai dil tere tiron ka mizaj
zaKHm jitne bhi lage hain wo tere tir ke hain
zindagi ek tasalsul gham-o-alam ka hai
aur hum log bhi qaidi usi zanjir ke hain
nafraten phuT paDin ban ke lahu ka sailab
kitne zahrile ye jumle teri taqrir ke hain
sahib-e-lauh-o-qalam us ke siwa koi nahin
sare gul-buTe 'niyaz' us ki hi tahrir ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.