Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parae dasht mein ninden luTa ke aai hun

Farah Khan

parae dasht mein ninden luTa ke aai hun

Farah Khan

MORE BYFarah Khan

    parā.e dasht meñ nīñdeñ luTā ke aa.ī huuñ

    par us aañkh meñ sapne sajā ke aa.ī huuñ

    maiñ kūza-gar to nahīñ thī magar haqīqat hai

    maiñ us marzī us ko banā ke aa.ī huuñ

    jise bhī jaanā ho jaa.e charāġh jaltā huā

    baḌā kaThin thā agarche bujhā ke aa.ī huuñ

    palaT to aa.ī huuñ lekin ḳhamosh dariyā ko

    sulagtī pyaas qissa sunā ke aa.ī huuñ

    vo intizār karegā mujhe yaqīñ hai magar

    maiñ ab kabhī na milūñgī batā ke aa.ī huuñ

    huzūr-e-ishq batāo mujhe kahāñ jā.ūñ

    tumheñ ḳhabar hai maiñ naav jalā ke aa.ī huuñ

    vo tere vā'de vo bāteñ vafā ḳhulūs 'farah'

    maiñ khāre paanī meñ sab kuchh bahā ke aa.ī huuñ

    parae dasht mein ninden luTa ke aai hun

    par us ki aankh mein sapne saja ke aai hun

    main kuza-gar to nahin thi magar haqiqat hai

    main us ki marzi ka us ko bana ke aai hun

    jise bhi jaana ho jae charagh jalta hua

    baDa kaThin tha agarche bujha ke aai hun

    palaT to aai hun lekin KHamosh dariya ko

    sulagti pyas ka qissa suna ke aai hun

    wo intizar karega mujhe yaqin hai magar

    main ab kabhi na milungi bata ke aai hun

    huzur-e-ishq batao mujhe kahan jaun

    tumhein KHabar hai main naw jala ke aai hun

    wo tere wa'de wo baaten wafa KHulus 'farah'

    main khaare pani mein sab kuchh baha ke aai hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now