parbat rai-rai se
parbat rā.ī-rā.ī se
tāqat hai yaktā.ī se
sahrā bhī sairāb huā
merī ābla-pā.ī se
jaan ga.e ham haal tirā
peT chhupe kyā daa.ī se
Duub ga.e ham sāhil par
Darte the gahrā.ī se
kyā ġhairoñ kī baat karūñ
bhaa.ī ko ranjish bhaa.ī se
kitne diloñ meñ aag lagī
merī sho.ala-navā.ī se
TuuT gayā maiñ ai 'merāj'
jazboñ kī añgḌā.ī se
parbat rai-rai se
taqat hai yaktai se
sahra bhi sairab hua
meri aabla-pai se
jaan gae hum haal tera
peT chhupe kya dai se
Dub gae hum sahil par
Darte the gahrai se
kya ghairon ki baat karun
bhai ko ranjish bhai se
kitne dilon mein aag lagi
meri shoala-nawai se
TuT gaya main ai 'meraj'
jazbon ki angDai se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.