parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai
parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
parda-e-ġhaib meñ tash.hīr chhupī hotī hai
ḳhvāb kī aañkh meñ ta.abīr chhupī hotī hai
us ko le aatā hai qirtās-o-qalam par ma.anī
jab kisī lafz meñ tāsīr chhupī hotī hai
maktab-e-dil se hunar siikh use paḌhne kā
saade kāġhaz meñ jo tahrīr chhupī hotī hai
vaqt kartā hai numāyāñ baḌī mashshāqī se
vasl meñ hijr kī tasvīr chhupī hotī hai
lauT ke ghar kī taraf yūñhī nahīñ aa jaatā
pā-e-āzād meñ zanjīr chhupī hotī hai
zindagī ek ḳharābī hai tirī galiyoñ meñ
har na.e moḌ pe taqdīr chhupī hotī hai
qasr meñ dauḌtī phirtī hai koī bechainī
aur kueñ meñ koī tāḳhīr chhupī hotī hai
is liye dekhtā rahtā huuñ sarāpā har dam
tere har matn meñ tafsīr chhupī hotī hai
had kī sarhad se nikal aa.uuñ to har raste meñ
pul-sirātī koī ta.azīr chhupī hotī hai
parda-e-ghaib mein tashhir chhupi hoti hai
KHwab ki aankh mein tabir chhupi hoti hai
us ko le aata hai qirtas-o-qalam par mani
jab kisi lafz mein tasir chhupi hoti hai
maktab-e-dil se hunar sikh use paDhne ka
sade kaghaz mein jo tahrir chhupi hoti hai
waqt karta hai numayan baDi mashshaqi se
wasl mein hijr ki taswir chhupi hoti hai
lauT ke ghar ki taraf yunhi nahin aa jata
pa-e-azad mein zanjir chhupi hoti hai
zindagi ek KHarabi hai teri galiyon mein
har nae moD pe taqdir chhupi hoti hai
qasr mein dauDti phirti hai koi bechaini
aur kuen mein koi taKHir chhupi hoti hai
is liye dekhta rahta hun sarapa har dam
tere har matn mein tafsir chhupi hoti hai
had ki sarhad se nikal aaun to har raste mein
pul-siraati koi tazir chhupi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.